Bachpan Ki Yaadein
- sony herode
- May 22, 2020
- 1 min read
Bachpan Ki Yaadein Aksar Rula Jati Hai
Masumiyat Ka Matlab Aksar Sikha Jati Hai
Kese Bhulu Ve Yaadein Bachpan Ki
Jisme Beeti puri Zindagi Hum Sabki
Naa Kuch Khone Ka Daar Na Kuch Paane Ki Chahat
Bina Kisi Ummed K Khush Rehne Ki Thi Adat
Har Choti Baat Par Ruthkar Maan Jana
Kya Bataye Kya Khoob Tha Vo Jamana
Bachpan Ki Yaadein Aksar Rula Jati Hai
Masumiyat Ka Matlab Aksar Sikha Jati Hai
Kya Tulna Kare Bachpan Ki Iss Jawani Se
Jisne Hum Sabko Door Kiya Apne Hi Logo Se
Jawani Ne Beshak Hume Agey Badhna Sikhaya
Lekin Bachpan Ne Asli Zindagi Ka Matlab Samjaya
Na Paise Ki Lalach Na Gadi Bangle Ki Chahat
Kaise Bhulu Vo Bachpan Ki Chamchamahat
Bachpan Ki Yaadein Aksar Rula Jati Hai
Masumiyat Ka Matlab Aksar Sikha Jati Hai
Na Paise Kamane Ka Junoon Na Koi Jimmedariya
Bachapna K Daur May Chalti Thi Sirf Manmarzijya
Uss Waqt Ka Sath Koi Ab Na Lauta Payega
Har Insaan Ab Khud Ko Badla Hua Payega
Iss Bhagdaud K Waqt May B Dil Rakho Bachpan Ka
Comments