Poem Name-Dosti ka matlab kya hai
- sony herode
- Aug 6, 2020
- 1 min read
I wrote this poem for my very special friend. As she requested to write the poem on our friendship so here it is !!
TAnvi P. i hope you will like it babe.
# office# friednship#love#bff#miss you#loveyou# ššš„°š
Dosti ka matlab bhala kya hota hai
Jo sochkar na ki jaye bus vahi hota hai
Aise hi dost bane hum bina kisi shart par
Soch or adate milne lagi jab hamari jamkar
Khadoss dikhne wali ladki bhala iti achi hogi
Uss din aehhas hua ki galati logo ki hi hogi
Suna tha logo se kuch ajeebo gareeb dastan
Jab padha tujhe nazdik se jo ki nahi tha aasan
Tab jakar may samji teri gusse k piche ka raaz
Asal may vo gussa nahi tere pyar ka tha andaaz
Shakal dekhkar dosti krne wale bhut hote hai
Bhul jate h surat se jyada sirat k log ache hote hai
Itte thode waqt tujse umrabhar ki dosti ho gayi
Tune jadu aise kiya teri dosti ki adat hogayi
Yaad ate hai vo dus mahine jaha roj hota tha milna
Jab baat kiye bina na khtm hota tha din apna
Tujhe dosti krke aehsaas hua hai muje ab
Saal nahi vichar mayne rakhte hai sab
Waqt piche chuth jate h or log bhi chod jate hai
Par tune nata joda rakha jo kal tha or aj bhi hai
Khusnaseeb hu may tujhe meri zindagi may pakar
Umeed karti hu hasi tere chehre pr rahe khulkar
Door hoke b dil k bhut pass rehti ho tum
Kya batau tanvi kiti dafa yaad ati ho tum.
Comments