Poem Name- Barsaat ka Mausam
- sony herode
- Jul 6, 2020
- 1 min read

Aj phir jehen may khayal aya h
Barsaat ka mausaum laut aya h
Maa k hath ki garama Garam chai
Or Pakode k sang ho toh baat ban jaye
Pure saal sirf Sawan ane ka intezzar
Mann ko khush kar jata h har bar
Vo Boonde rim jhim Barssat ki
Or Vo khushboo gili mitti ki
Yun tez thandi hawa ka Chalna
Vo hare daliyo ka khilkar Chehekna
Bijli ki zoro wali gadgadahat
Vo neele ambar ki chamchamat
Dosto k sath vadapav or tapri wali chai
Gile gile sadko pr vo bike wali ride
Pahado se behte huye pani may bheegna
Bina kisi daar k sirf udham machana
Gajab ka sukoon h iss barish k pani me
Maan karta h bhig jau har Sawan me
Bhut yaadein judi h iss sawan k mausam se
Kahi pyar ki barsaat toh kahi dosto ki awaz he
Iss saal beshak yeh sab mumkin nahi hai
Bus issi baat ka thodasa gam toh hai
A bhagwan barish ko iss roop may barsana
Hum Sab ko Taklif se mukhth kar jana
Comments